Ruuh ko tarhpa rahi hai un ki yaad
dard bankar chaa rahi hai un ki yaad
ishq se ghabraa rahi hai un ki yaad
rukte rukte aa rahi hai un ki yaad
wo ha’nse wo zer-e-lab kuch keh uthe
khwaab see dikhlaa rahi hai unn ki yaad
main to khuddaari ka qaa_il hoon magar
kya karoon phir aa rahi hai unn ki yaad
ab khayaal-e-tark-e-rabt zabt he se hai
khud ba khud sharma rahi hai un ki yaad
By: Shakeel Badayuni
Zamil
2
Re: Yaad
Aaha. Jio Mir G!
Shakeel saahab k to kya hi kehne.
Re: Yaad
Yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvarta gaya mein
uss ko soucha to usse yaad he karta gaya mein
iss ko tahzeeb-e-junuun kahiye ki mujh se pehle
jaise bikhare hain sabhi log bikharta gaya mein
ek tasveer banaee thi mukammal na huee
ek hi rang lahoo rang tha barhta gaya mein
harf-e-iqraar he kehta raha be-khaufi se
yaani inkaar ke aashob se darta gaya mein
apne andar ke talaatum ne rakha hai aabaad
khud he iqraar kiya khud he mukarta gaya mein
har nafas barhata gaya uss ki tamanna ka kharosh
lamha lamha iss he wehshat mein nikharta gaya mein
By: Pirzada Qasim
Re: Yaad
Teri khushboo ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
shab ki tanhaee mein ab to aksar
guftaguu tujh se raha karti hai
dil ko uss raah pe chalna he nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kehne mein raha karti hai
uss ne dekha he nahi warna ye aankh
dil ka ehvaal kaha karti hai
beniyaaz-e-kuf-e-darya angusht
ret per naam likha karti hai
Shaam parhte he kisi shakhs ki yaad
kuchaa-e-jaan mein sada karti hai
abr barse to inaayat uss ki
shaakh to sirf dua karti hai
masla jab bhi utha charago'n ka
faisla sirf hawa karti hai
By: Parveen Shakir
Re: Yaad
Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kissi bahane tumhein yaad karne lagte hain
hadees-e-yaar ke unvaan nikharne lagte hain
tu her hareem mein gesuu sanvarne lagte hain
Saba se karte hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
tu chashm-e-subha mein ansoo ubharne lagte hain
dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai
tu Faiz dil mein sitaare utarne lagte hain
By: Faiz Ahmed Faiz
Amal
6
Re: Yaad
Very nice thread mirabbas…excellent stuff :k:
Re: Yaad
Brother Amal thanks alot…
Re: Yaad
Buhat khoob … nice collection mir sahib .. keep posting 
Re: Yaad
Bas itna batado ke dilaein tumhein kya yaad
jab tum ye kaho ham ko nahi ahd-e-wafa yaad
bemaar tujhe naz'a mein wo butt he raha yaad
kaafir ko bhi aa jaata hai aese mein khuda yaad
jab taq raha bemaar mein dam tum ko kiya yaad
thi aur kise dard-e-mohabat ki dawa yaad
By: Qamar Jalalvi
Re: Yaad
Excellent Mirabbas. Thanks for sharing all this. Keep it up!
Re: Yaad
Bhulata laakh huun lekin barabar yaad aate hain
Ilaahi tark-e-ulfat par wo kyun kar yaad aate hain
na cherh ay ham nasheen kaifiat-e-sahba ke afsane
sharab-e-bekhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain
nahi aati tu yaad unki maheenon bhar nahi aati
magar jab yaad aate hain tu aksar yaad aate hain
haqeeqat khul gaee Hasrat tere tark-e-mohabat ki
tujhe tu ab wo pehle se bhi barhkar yaad aate hain
By: Hasrat Mohani
Re: Yaad
Mir saheb,,, buhat aalaaa
Re: Yaad
Phir mujhe deeda-e-tur yaad aaya
dil jigar tashna-e-faryaad aaya
dum liya tha na qayamat ne hanooz
phir tera waqt-e-safar yaad aaya
uzr-e-vamaandagi ay hasrat-e-dil
naala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar he jaati
kyun tera raah_guzar yaad aaya
aah wo jurrat-e-faryaad kahan
dil se tang aake jigar yaad aaya
phir tere kuuche ko jaata hai khayal
dil-e-ghum gashtaa magar yaad aaya
koee viraani see viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
maine majnoo'n pe larhakpan mein Asad
sang uthaya tha ke ser yaad aaya
By: Mirza Ghalib