Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaaya mujh ko
Din ko aaram hay na raat ko hay chain kabhi
Jaanay kiss khaak say qudrat nay banaaya mujh ko
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo milaa hay woh milaa ban kay paraaya mujh ko
Jabb koi bhi na rahaa kaandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kiss nay jalaaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab choarh diya hay tanhaa
Moat nay piyaar say pehloo main bithaaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabbat nay jalaaya thaa kabhi
Gham ki aandhi nay sar-e-shaam bujhaaya mujh ko
Kaisay bhoolon gaa wohi wasl kay lamhay ALMAS
Yaad aata rahaa zulfon ka hi saaya mujh ko