dasht-e-tanhai main aay jaan-e-jahan larzan hain
tairee awaaz kai sayai tairai honton kai sairaab
dasht-e-tanhai main doori kai khas-o-khak talai
khil rehai hain tairai pahloo kai saman aur gulab
uth rehi hai kahin qurbat se tairee saans ki aanch
apni khushbo main sulagtee hui madham madham
door ufak paar chamkati hui qatra qatra
gir rehi hai tairee dildaar nazar ki shabnam
is qadar pyar se aa jaan-e-jahan rekha hai
dil ke rukhsar pai is wakt tairee yaad nai hath
yon gumaan hota hai garchai hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat
![]()