**
Itna Hi yaad rakh Mujhe
Jaisay kissi kitaab main
beetay dino kay dost ka
aik khut para hua milay
lafz mittay mittay say hoon
Rang ura ura sahi
Lekin woh Ajnabi na ho
Uth kar Teray Galay say Lagay
Bhoolay huay Tamam Dukh,
Guzaray huay Tamam sukh
Beetay Dinno ki sub Katha
Tujh Say Kahay Aur Ro paray
Itna hi Yaad rakh mujhe
Beetay Dinno kay Dost ka
Jaisay kay Koi Khut hoon main
Rakha Hua Kitaab Main !!!
**