Yaad nahe kya kya dekha tha ....

yaad nahin kyaa kyaa dekha tha saare manzar bhuul gaye
us kii galiyon se jab latTe apanaa bhii ghar bhuul gaye

Khuub gaye pardes ki apane diivaar-o-dar bhuul gaye
shiish-mahal ne aisaa gheraa mitti ke ghar bhuul gaye

tujh ko bhi jab apani qasamein apane vaade yaad nahin
ham bhi apane Khvaab teri aankhoin mein rakh kar bhuul gaye

mujh ko jinhone qatl kiyaa hai ko_ii unhen batalaaye “Nazeer”
meri laash ke pahaluu mein vo apanaa Khanjar bhuul gaye

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha ....

Very Nice** Sunny**...

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha ....

thx :)

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha …

nice :k:

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha …

:k:

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha …

kia angotah bhe dekah tah :cb:

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha …

:dhimpak:

P.S TP tak hi raho :smilestar:

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha …

TP kider he :vivo:

Re: Yaad nahe kya kya dekha tha ....

thx all of u :)

larai karna mana hai board nahe parha aap ne :P