yaad kiya

**Dil ne seene mein tarhap kar jab unhein yaad kiya
dar-o-dewaar ko aamada-e-faryaad kiya

vasl se shaad kiya hijr se nashaad kiya
uss ne jis tarha se chaha mujhe yaad kiya

tum mere rone pa roye sitam ejaad kiya
ishq ki rooh ko amada-e-faryaad kiya

sabr do din na hua roley bohat yaad kiya
ab na kehna ye zabaan se tujhe azaad kiya

aik tareeqa hai ye sayyad ka Allah Allah
aik ko qaid kiya aik ko azaad kiya

aur kya chahiye sarmaya-e-taskeen ay dost
ik nazar dil ki taraf dekh liya shaad kiya

charq-e-nayrangi asbaab kahan taq kijiye
muqtasar ye hai hamein aapne barbaad kiya

mehrbaan hum pa rahi chashm-e-suqan go unki
jab mili aankh nigahon ne kuch irshaad kiya

dil ka kya haal kahuun josh-e-junoon ke hathon
ek gharonda sa banaya kabhi barbaad kiya

ab se pehle tu na tha zauq-e-mohabat ruswa
shayad unn mast nigahon ne kuch irshaad kiya

ishq kyun sog manata ye khushi kya kam hai
dil ye jiska tha ussee ne ussey barbaad kiya

jurm majboori-e-betaab Ilahi tauba
ye bhi ek be-adabi thi ke tujhe yaad kiya

maut ek daam-e-girftari-e-taza’h hai Jigar
ye na samjho ke gham-e-ishq ne azaad kiya

By: Jigar Muradabadi

**

Re: yaad kiya

^ apki intikhab-e-ghazal se ji khush ho gaya ... its beautifully written. Mein apne app ko post karne se rok sa saki, issi moozu pe likhi gaye ek aur ghazal ko jo recently meinne parhi thi ... bila ijazat apke thread mein post karne ke mazarat chaon gi ...

yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvarta gaya main
uss ko socha to usse yaad hi karta gaya main


***iss ko tahzeeb-e-junoon kahiye ke mujh se pehle
jaise bikhare hain sabhi log bikharta gaya main

naqsh kitane the ke ma'aduum hue silsilavar
aur har naqsh ke pehlu se ubharta gaya main***

ek tasveer banai thi mukamal na hui
ek hi rang lahu rang tha bhartaa gaya main


harf-e-iqrar hi kehata raha bekhaufi se
yaani inkaar ke aashob se Darta gaya main

apne andar ke talaatum ne rakha hai abad
Khud hi iqrar kiya Khud hi mukarta gaya main


har nafas barhta gaya uss ki tamanna ka Kharosh
lamha lamha issi vehshat mein nikharta gaya main


zindagi kuu-e-malaamat hai koi kya Thahre
apni hi vazaa ka main hoon so Thaharta gaya main


***(Pirzada Qasim)


Re: yaad kiya

Thanks for sharing... mazarat ki koee zaroorat nahi .....

Re: yaad kiya

Gham-e-dunya ne hamein jab kabhi nashaad kiya
ay gham-e-dost tujhe maine bohat yaad kiya

husn-e-masoom ko amada-e-bedaad kiya
mujh ko khud meri tamanna'on ne barbaad kiya

ashq beh beh ke mere khaak pa jab girne lage
maine tujh ko tere daaman ko bohat yaad kiya

qaid rakha mujhe sayyaad ne keh keh kar
abhi azaad kiya bas abhi azaad kiya

haay wo dil mujhe uss dil pa taras aata hai
tuu ne barbaad kiya jisko na abaad kiya

aah wo khaatir-e-nazuk na ho maghmoon kaheen
hichkiyaan kehti hain aaj uss ne mujhe yaad kiya

tujh ko barbaad he hona tha bahar-haal khumaar
naaz kar naaz ke uss ne tujhe barbaad kiya

By: khumaar Barabankvi

Re: yaad kiya

Bohut khub. Both were so nice :k:

Re: yaad kiya

Simply great! Thanks!