~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say
mudattain beet gaee hain tumhay chaltay chaltay
khatam ho jaaey jo do chaar qadam aur chalo
morr parrta hay jahaan dasht-e-faraamoshi ka
jiss say aagay na koi mai hoon na koi tum ho
saans thaamay hain nigaahain keh na jaanay kis dam
tum palat aao, guzar jaao yah murr kay daikho

garche waaqif hain nigaahain keh yeh sab dhoka hay
gar kaheen tum say ham-aghosh huwi phir say nazar
phoot niklay ga wahan aur koi raah-guzar
phir issi tarah jahaan ho ga muqaabal paiham
saaya-e-zulf ka aur junbish-e-baazu ka safar

doosri baat bhi jhooti hay keh dil jaanta hay
yaaN koi morr, koi dasht koi ghaaT nahin
jis kay parday mai maira maah-e-ravaaN doob sakay
tum say chalti rahay yeh raah yunhi acha hay
tum nay murr ker bhi na daikha to koi baat nahi

Faiz

2 Likes

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

Zabardast Choice Ali..............Thanks for shairing:)

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

V. Nice Ali.. :k:

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

:mash:

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

Bohat khoob Ali...

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

very nice :k:

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

thanks :)

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

very nice g

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

Boht khoob...

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

Beautiful..

2 Likes

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

nicee

Lovely.....beautiful.......sad. Deep........touching

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

thanks

Re: ~~: yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :~~

nice sharing

|PS: i already did that few weeks back :P

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

:k: nice1 Ali

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

koi baat nahin achi cheezain baar baar share karni cchahian :snooty:

PS. thanks :slight_smile:

Re: : yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say :

ketna time ho gea chelte ab beth jao :chai: