salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
maiN Urdu ke pahle saaHib-e-deevaan shaa’ir Wali Deccani kii ek Ghazal pesh kar rahaa huN aur ummeed kartaa huN k qaare’iin ko pasand aayegii. shukria
Restored attachments:

Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa...Wali Deccani kii Ghazal
oops! posted in the wrong forum...mods, can you please move it to the right forum [intiKhaab]...thank you :)
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa…Wali Deccani kii Ghazal
Choti behr main khoobsurat kalam :k:
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa…Wali Deccani kii Ghazal
yup…i loved it…zabaan kii chaashnii bhii lutf de gaii…![]()
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa…Wali Deccani kii Ghazal
Aap ye enjoy karen:
Jise ishq ka teer kari lage
Use zindgi kyun na bhari lage
Na chore mohabbat dam e marg lag
Jise yar jani so yari lge
Na hoye use jag may hargiz qarar
Jise ishq ki beqrari lge
Har ek waqt mujh ashiq e pak kon
Pyare teri bat pyari lge
“wali” kon kahe tu agar ek bachan
Raqiban ke dil may katari lge
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa...Wali Deccani kii Ghazal
waah waah, bahot Khoob...thankoo...mazaaa aagayaa! :)
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa...Wali Deccani kii Ghazal
I kinda remember that Wali Dakani also wrote some famous Hamd o Naat.
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa…Wali Deccani kii Ghazal
ek aur Ghazal…ek aur Ghazal…is Ghazal kii zabaan reKhta jaisi hai yaa reKhta hii hai…bahot pyaarii aur bhali lagtii hai…khaRii boli/Brij Bhasha/reKhta kaa Haseen sangam hai:
**
tujh lab kii sifat la’l BadaKhshaaN, suuN kahuuNgaa**
jaadoo haiN tire nai’n GhazaalaaN, suuN kahuuNgaa!
Abida Parveen kii aawaaz meN samaa’at farmaaiye:
Re: yaad karnaa har ghaRii us yaar kaa...Wali Deccani kii Ghazal
Wali Dakanni ka daur kab ka hai, kia Meer se pehle ke hain?

Wali Deccanii (1667–1707)
Mir Taqi Mir ** (1723–1810)**
Wali Deccani kaa daur Amir Khusrau aur Mohammad Quli Qutub Shah ke ba'd kaa hai.