yaad kai gulistan main

dhundlaka sa phaila hai yaad kai gulistan main
khamoshi ka pahra hai yaad kai gulistan main

chandni main doobi hui wu kisi ki muskanain
in say hi ujala hai yaad kai gulistan main

roothnai ki wu khizain aur mananai ki bahaar
sab ka hi baseera hai yaad kai gulistan main

khul gai hain baab-e-mazee aik jhonkai kai sabab
aisee kuch aandhee nai ghaira yaad kai gulistan main

each and every word is beautiful