yaad hain

yaad hain saare wo aish-e-bafaragat ke mazey
dil abhi bhula nahin aagaaz-e-ulfat ke mazey

wo saraapa naaz tha begaana-e-rasm-e-jafa
aur mujhe haasil thay lutf-e-benihaayat ke mazey

husn se apne wo ghaafil tha main apne ishq se
ab kahaan se laoon wo naa-waa****qfiyat ki mazey

meri jaanib se nigaah-e-shauq ki betaabiyan
yaar ki jaanib se aagaaz-e-shararat ke mazey

yaad hain wo husn-o-ulfat ki niraali shokhiyan
iltemaas-e-uzr-o-tamheed-e-shikayat ke mazey

sehatein laakhon meri bimaari-e-gham par nisaar
jis mein uthay baarha unn ki ayaadat ke mazey

By: Hasrat Mohani

Re: yaad hain

Very nice Mirabbas, thanks for sharing.

Re: yaad hain

sehatein laakhon meri bimaari-e-gham par nisaar
jis mein uthay baarha unn ki ayaadat ke mazey

bohat aala :)

Re: yaad hain

:k:

Re: yaad hain

Wahh ,,,,,,