yaadon ke sailabo me doob jaana yaad hai
choti choti baato ko sunna sunana yaad hai
patjhar mein bhi lagta tha mausam baharo ka
tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai
thakti nahi thi aankhe dekh dekh raasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai
khushboo me hawa ki dhoondna tumhari mehak
baarish ki boondon me apne ashk milana yaad hai
kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskurana yaad hai
kabhi bin bataye tumhara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai
kuch sunna chahte the hum tumse
par tumhara na keh paana yaad hai
abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun aik mor par raaho ka mor jaana yaad hai
chaha tha ek kahani bane humari
magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai
kahani na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai..