yaad-e-shab-e-firaq k ab bhi aatay hain ansoo

meri zindgi ki ruu ab tumara paas hai
mujhay bhool sakna ab bada mushkil hai

jo kuch bhi hum dono main hai
mohabbat k siwa ab aur kyaa hai

meri aankhon main kabhi dard k qatray to dekh
teri yaad main din raat dil tum ko chahta hai

main tumay kaha karti tum meray mehboob ho
ab bhi meray dil main pyaar kun nahin hai

mujhay sahara daney waalay tum chalay gayey
pyaar ke paigamon k siwa ab meray pass kya hai

yaad-e-shab-e-firaq k ab bhi aatay hain ansoo
tumari yaad main dil mera bada pashemaan hai

agar bichar jaana hi hamari kismat main hai
to ye khuda hi ko patta hai k aisa kyon hai

khuda ko duaawain karti hoon tum mil jaao
lakin hona vo hi hai jo khuda ko manzoor hai