**Yaad-e maazi main jo ankhon ko saza di jaye
Is se behtar hai k har baat bhula di jaye
Jis se thori si bhi umeed ziyada ho kabhi
Aisi har shama sar-e sham jala di jaey
Main ne apnon k rawayyon se ye mehsoos kya
Dill k angan main bhi diwar utha di jaye
Main ne yaron k bichharnay se ye seekha Mohsin
Apny dushman ko bhi jeenay ki dua di jaye.**