Duniya se dil laga kar duniya se kya milega,
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega!
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega!
Daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani
har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani.
Ye sab gurur ek din mitti mein ja milega
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega!
Aata nahi palat kar guzra hua zamana
kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana.
Ye zindagi ganva kar kya faayada milega
yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega!
Taqdeer jo dikhaye, chup chaap dekhta chal,
imaan ke sahare neki ka rasta chal.
Iss raaste pe akar, har raasta mileyga,
duniya se dil laga kar duniya se kya milega!
dunyaa se saniyaas le kar deen kii raah par chalne meN kia mushkil...Dunyaa men rah kar dunyaa ke taqqazoN aur imtiHaanaat se guzarte huye Allah ko yaad karnaa ai'n Islam hai...Islam meN raHbaaniyat man'a hai...isii liye kisii shaa'ir ne Khoob kahaa thaa k: