Yaad Aaya (complete)

Bohot dinoon baad
Teray khat k udass lafzoon nay
Teri chahat k zaiqoon ki tamam khushboo
Meri ragoon main undail di hai
Bohot dinoon baad teri batain
teri mulaqat say dehekti ratain
Ujar aankhoon ki piyas patal ki tehoon main
Wasal wadoon ki chand chingariyoon ko sans ki aanch day ker
Teray mehktay maheen lafzoon ki aabsharain
Bohot dinoon baad phir say
Mujh ko rula gai hain
Bohot dinoon baad main nay soocha to yaad aaya
Keh meray ander ki rakh k dhair per abhi tk
Teray zamanay likhay hoay hain
Bohot dinoon baad main nay soocha to yaad aaya
Keh main bhi kitna badal gaya hoon
Bichar k tujh say
Kaye’e lakeeroon main dhal gaya hoon
Main apnay cigarette kay bay irada dhoai’n ki soorat
Hawa main tehleel ho gaya hoon
Na dhoond meri wafa kay naqsh - e - qadam kay raizay
Keh main to teri talash kay bay kinar sehra main
Njanay kis rah main kho gaya hoon

** i posted it before, this is the complete version of that nazm.*

Re: Yaad Aaya (complete)

beautifull…loved itt:love:

Re: Yaad Aaya (complete)

good imagery and good poem ... :)

Re: Yaad Aaya (complete)

bichar k tujh say
Kaye'e lakeeroon main dhal gaya hoon
Main apnay cigarette kay bay irada dhoai'n ki soorat
Hawa main tehleel ho gaya hoon
Na dhoond meri wafa kay naqsh - e - qadam kay raizay
Keh main to teri talash kay bay kinar sehra main
Njanay kis rah main kho gaya hoon

bari khubsurat sharing hia sheal ji :)

Re: Yaad Aaya (complete)

:k:

Re: Yaad Aaya (complete)

Chalye deir sey hi sahi…yaad aa to gaya…aur kya ‘khoob’ yaad aaya :):k:

Re: Yaad Aaya (complete)

shukria janab nawazish :)

Re: Yaad Aaya (complete)


yeh "janaab Nawazish" kaun saahab haiN?

Re: Yaad Aaya (complete)

karam k bhai hain :)

Re: Yaad Aaya (complete)


Inaayat saY bhee rishtaY daari huee phir tau :P

Re: Yaad Aaya (complete)

haan nikalti to hai ;)

Re: Yaad Aaya (complete)

^
in sub say pocho kay amanaat ko jantay hain ye :blush:

Re: Yaad Aaya (complete)

Bohot dinoon baad main nay soocha to yaad aaya
Keh meray ander ki rakh k dhair per abhi tk
Teray zamanay likhay hoay hain
Bohot dinoon baad main nay soocha to yaad aaya
Keh main bhi kitna badal gaya hoon
Bichar k tujh say
Kaye'e lakeeroon main dhal gaya hoon

wah ! Bohat khubsurat nazam hai