YAAD AAO GAY
ik baar agar jo chalay gaey
phir na laot kar wapis aao gay
phir hum ko yaad karo gay tum
phir khud par tum pachtao gay
phir barish ki shame’n chair’en gi
phir geet puraanay gao gay
phir bay maosam chat par jaa kar
khud ko tum behlaao gay
phir dasay gi tum ko tanhaee
lekin na hum ko paao gay
phir pyaar wafa k waado’n par
tum soch k deep jalaao gay
jab shaam suhani aaey gee
phir hame’n bhi tum yaad aao gay
KHAMOSH
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)