najaane zindgi kis mordh per le aai hai mujhko
jidhar dekhon kiran har raah par yaad aai hai mujhko
suna tha guzre lamhai laut ker aate nahi lakin
wahi manzil wahi mushkil nazar phir aai hai mujhko
meri aakhoon main werane hain aur taarikiyaan dil main
ujaaloon ki tamanna har ghardi tardhpaai hai mujhko
nahi main jaanta dil main tere kia tha aur ab kia hai
bhanwar jesi nazar aati hai jo gahraai hai mujhko
teri yaadoon ko leker zindagi main saans leta hoon
jo mar jaaoon samajh lena wafa raas aai hai mujhko