Yaad aa gaya

Mujh ko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gaya
tum kyun udaas ho kya yaad aa gaya

kehne ko zindagi thi bohat mukhtasar magar
kuch yun basar huee ke khuda yaad aa gaya

vaa_iz salam le ke chala maekade ko main
firdaus-e-ghamshudaa ka pata yaad aa gaya

barse baghaer he jo ghata ghir ke khul gaee
ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya

maangeinge ab dua ke usse bhuul jaaye ham
lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya

hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ay Khumar
kya baat ho gaee jo khuda yaad aa gaya

By: khumar Barabankvi

Re: Yaad aa gaya

kehne ko zindagi thi bohat mukhtasar magar
kuch yun basar huee ke khuda yaad aa gaya................

wah wah fantastic meer

Re: Yaad aa gaya

tarq e tauluqat ki asaniyun kay baad
woh mushkilain parin kay KHuda yaad agay

Re: Yaad aa gaya

:k:

Re: Yaad aa gaya

:k:

Re: Yaad aa gaya

gdgd

Re: Yaad aa gaya

Bohatttttt Aa'laaaaaa.......Dil le lia aap ne to Mir Jee.....:) :)

Re: Yaad aa gaya

Thanks alot......