karuun na yaad agar kis tarah bhulaa_uun use
Gazal bahanaa karuun aur gun_gunaauun use
vo Khaar-Khaar hai shaaKh-e-gulaab kii maanind
mai.n zaKhm-zaKhm huun phir bhii gale lagaa_uun use
ye log tazakare karate hain apane logo.n se
mai.n kaise baat karun aur kahaan se laa_uun use
magar vo zuud_faraamosh zuud ranj bhii hai
ke ruuTh jaaye agar yaad kuchh dilaa_uun use
vahii jo daulat-e-dil hai vahi jo raahat-e-jaa.N
tumhaarii baat pe ai naasiho ganvaa_uun use
jo ham_safar sar-e-manzil bichha.D rahaa hai ‘Faraz’
ajab nahee ki agar yaad bhi na aa_uun use