Yaa Rab

Zara hon tabish e khushid o qamar mil jay
Main khazf hon, mujhay taqdir e gohur’ mil jay

Hussan e izhar say zoo’bar hon fikr o ehsaass
Shab gazida hoon mujhay noor e sahar mil jay

Ra’hay malhoz meray harf ko taqdeess e qalam
Lafz ko hurmat e aijaaz e hunar mil jay

Meray jazbon say nomayan ho dil o jaan ka sakoon
hussan e fitrat kay liay tab e nazar mil jay

Apnay edraak say hasil ho mujhay tera suragh
Khud ko dhondon to mujhay teri khabar mail jay

Ho sadaqat meray shairon ki dilon ko mehsoos
Meray afkar e pareshaan ko assar mil jay

Main zamanay main rahon teray karam ka muhtaj
Meri her shakh e tamna ko summer mil jay

(Rasheed Saqi)

Re: Yaa Rab

Bohat khoobsoorat ghazal hey:k:…thanx a lot Azad:slight_smile:

Bohat achay....

Thanks Azad jee.....

Buhat Khoob :k:

Zara Nawazi haii aap sub ki

Bohat khoob, :k::k:

Nice one :)

bhut khoob :k: