Yaa Ilaahii

Taara-e-subah ka rung surkh hua
chandni zardi say nahayi hui
yeh dharti pay kesi aafat parhi
k arsh say pathrili barsaat hui
yeh faza kiyoon nam nam si hay
yeh aahain , siskiyaan kin ki hain
koi masoom akaila kiyoon reh gaya
kisi Boorhee laathi ka sahara kaheen kho gaya
kayeen andaishey lapaktey hain in aankhoun main
ik weeraani see chayi hay in bastiyoun main
hay maut ka ik raqs raqsaan
yeh hum say kaisi bhool hui
Aye RAB-E-ZULJALAL Tu hay Lazawaal
is dard-e-dil ki dawa kardey
is khaali goad ko tu bhardey
hum nadaan, bey sar-o-samaan
haath uthayey Lub pay aik hee wird ko rakhey jaari
YAILAHI almadad, YAILAHI almadad, YAILAHI almadad!!

Re: Yaa Ilaahii

mashallah

Re: Yaa Ilaahii

very nice MAA'SHA ALLAH

Re: Yaa Ilaahii

thanx Azad & P^K

Re: Yaa Ilaahii

Mashallah :flower1:

Re: Yaa Ilaahii

thanx G^S