**
===========================
Jab Yaad Ka Album Khooloo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay Hain
Main Apna Bachpan Sochoo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay Hain
Ab Jaanay Kis Nagree Main Jaar Kar
So’ay Howay Hain Barsoo’n Say
Main Raat Ga’ey Tak Jaagoo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay Hain
Kuch Baatain Theen Phooloo’n Jaysee
Kuch Khushboo Jaysay Lehjay Thay
Main Sehan-e-chaman Main Tehloo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay hain
Jab Panchee Lautt Kar Aatay hain
Aur Shaam Ki Laali Parrti Hay
Main Jheel Kinaray Baitthoo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay Hain
In Ultee Seedhi Raykhao’on Ko
Pahroon Choomaa Kartay Thay
Main Apni Hathaylee Daykhoo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay Hain
Woo Pal Bhar Ki Narazgiyaa’n
Aur Maan Bhi Jaana Pal Bhar Main
Ab Aksar khud Say Rootthoo’n Tou
Kuch Log Buhat Yaad Aatay hain
===================
^
*