Ya Rab Mere Watan ka

Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna
Apne Karam ka Youn hi Ahsaanmand Rakhna
Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna
Nazaa’n rahain Sitaray Is ki Bulandiyon par
Saya Paray na Koi Is ki Tajalliyon par
Duniya ki Zulmaton ko Zer-e-Kamand Rakhna
Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna

Ya Rab
Mushkil ki Waadiyon mai Rahat ki Justuju mai
Taareek Raston par Manzil ki Aarzoo mai
Millat ke Qaaflon ko Shola Pasand Rakhna
Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna

Ya Rab
Mehkay Rahain Andheray Hanstay Rahain Saweray
Aaqa Tujhe Pata hai Hum hain Ghulam Tere
Hum ko Jahan ki Qaumon mai Arjumand Rakhna
Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna
Apne Karam ka Youn hi AhsaanMand Rakhna
Ya Rab Mere Watan ka Parcham Buland Rakhna

:jhanda:

Re: Ya Rab Mere Watan ka

aameen

Re: Ya Rab Mere Watan ka

AAmEEn

Re: Ya Rab Mere Watan ka

Ameen

Re: Ya Rab Mere Watan ka

Aameen