ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

Ghaisoo-e-taabdaar ko aur bhi taabdaar kar
Hosh-o-khird shikar kar qalb-o-nazar shikar kar.

Ishq bhi ho hijaab mein husn bhi ho hijaab mein
Ya tu khud aashkaar ho ya mujh ko aashkar kar

Tu hai muhit-e-bekaraan main hoon zaraa si aabju
ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

Main hoon sadaf to tere haath mere gauhar ki aabaru
main hoon Khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahwaar kar

Naghma-e-naubahaar agar mere nasib mein na ho
is dam e neem soz ko taairaak-e-bahaar kar

Baagh-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyon
Kaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar

Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amal
Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

itni ghari urdu.

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

:hehe: What do you expect from Iqbal. He could not restrict his poetry to ‘Lab pe aati hai dua’.

You can have translation of this at:

Allama Iqbal Poetry

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

**hot umda intiKhaab hai aapkaa...shukria. mujhe yeh Ghazal is qadar pasand hai k maiN ise aksar Khud apnii hii dhun pe gungunaataa huN...

*Kaar-e-jahaaN daraz hai ab mera intezaar kar*

aur

*Tu hai muhit-e-bekaraan main hoon zaraa si aabju*

kaash insaan apnii bisaat is kurra-e-arz meN samajh sake.

zabardast...

***nazar-e-maa kushaad 0 dil-e-maa shaad*

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

:hat: KKF.. More poetry of Iqbal coming up this month.

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

peshgii shukria…mujhe intizaar rahegaa…Iqbal jaisaa shaa’ir na kabhii paidaa huaa hai aur na hii shaayad kabhii paidaa hogaa…kam az kam merii nazar meN :slight_smile:

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

:d:
:k:

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

Ye itni khushi :smiley: kiyun :faizy:

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

KKF kay gungunanay par :hehe:

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

*Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-amal Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar *

Last shair buhat achchi terha samajh mein aa gaaya :)

Re: ya mujhe ham-kinaar kar ya mujhe be-kinaar kar

Acha ji! baqi shair to shair ne apne liye likhe the :naraz: