ya dil ko dard karde ya dil ka dard ho ja
ay aatish-e-muhabbat jal jal ke sard ho ja
ay beniyaaz ‘Rahat’ kyun phor’ta hei sar ko
sajdon ka shaokh hei to chaukhat ki gard ho ja
ro kar guzar gaya hei ehd-e-shabaab mera
ay phool arzoo ke tu bhi to zard ho ja
sar ko jhukaye aashiq qatil ka muntazir hei
kya sochta hei nadaa - uth jaa ke fard ho ja
ya dil ko dard karde ya dil ka dard ho ja…