.
.
.
Mujhay yaad hay,mujhay yaad hay
wuh kalaam keh jo na dhal sakaa
kisii Lafz meiN..
ye jo harf harf parrha geyaa
kisii aur baat kay Zikr meiN
kisii aur cheez kay dhehyaan meiN
wuh kitaab jo keh Likhii gaii
terii khaamshii kii zubaan meiN
mujhay yaad hay sar-e-raah-e-jaaN
wuh chiraagh saa kisii Aas kaa
jisay AaNdhiyaaN na bujhaa sakeeN
keh wuh Roshnii kii Asaas thaa
wuh jo pehlay pehlay wisaal par
terii chashm-e-khush meiN rawaaN huwaa
tery hijr ki shab-e-taar meiN
wuhii jugnu’oN saa Qaaflaa
meray raastoN ka shareek hay
wuh jo harf tu nay ataa kiyay
merii zindagi kii kitaab ko
ye tamaam rabt unhii say hay
unhi mosamoN ki tarang ka hay jamaal ye
jo bahaar meray sukhan meiN hay
unhii suhbatoN kii umang ka hay kamaal ye
keh jo hoslaa saa thakan meiN hey……!!