[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
hamaare dil ki in dharkanoN say
kaho ke chup yeh rahaiN Khudara
yahaN pay gooNji haiN furqataiN hi
milan ka naghma yahaN nahiN hay
ek umr guzri ke zard Rou hay
hamaray jazboN ka garm jungal
khizaaN ka mausam hay kaesa mausam
keh jiss pay ab tak khizaN nahiN hay
mohabatoN meiN yaqeeN ki hud say
guzar kay ab maiN wahaN khaRi huuN
jahaN tumhaaray kisi qadam pay
jafa ka hargiz gumaN nahiN hay
[/QUOTE]
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
yeh kya ke tum nay kisi say puuchi
humaray diL ki wuh sab kahani
keh jiss ka meh-ram siwa tumharay
koi bhi humdam yahaN nahiN hay
ek umr guzri ke zard Rou hay
hamaray jazboN ka garm jungal
khizaaN ka mausam hay kaesa mausam
keh jiss pay ab tak khizaN nahiN hay
mohabatoN meiN yaqeeN ki hud say
guzar kay ab maiN wahaN khaRi huuN
jahaN tumhaaray kisi qadam pay
jafa ka hargiz gumaN nahiN hay
[/QUOTE]