Assalam alaikum everyone… here is a piece by ibne insha enjoy!!
us shaam wu rukhsat ka saman yaad rahaiga…wu shahr wu kocha wu makan yaad rahaiga
wu tees kai ubhri thi idher yaad rahaigee…wu dard kai utha tha yahan yaad rahaiga
hum shauq kai sholai ki lapak bhool jaingai…wu shaam-e-fasurda ka dhuan yaad rahaiga
kuch ‘Mir’ ki ibyaat thin kuch ‘Faiz’ kai misrai…ik dard ka tha jee main bayan yaad rahaiga
jaan bakhsh se thi us gulburg ki taravat…wu lams-e-azeez-e-dojahan yaad rahaiga
hum bhool sakai hain na tujhai bhool sakain gai…tu yaad rahaiga humain haan yaad rahaiga
awesome:k::k:
waqaee woh sham nahi bohltee:(
Thank you for taking the time to read it and appreciate it Dilsay and ghazal kisi ki :)
Zabardast :k:
**
~~! Wo Akhri Shaam !~~
Naee rutoon ka naya safar
Tumhein ijaazat hai bhool jaana
Hazar salon pe sabt ‘chaahat’ ki pori tarekh bhol jana
Magar …
Sarab-e-mazi ki khwab aloda roz-o-shab ke woh akhri
Shaam yad rakhna
Woh akhri shaam…
Jab tumhari meri nigahoon ne
Ek doje ke dil ke ander utar ke shafaf aenoo mein
Khud apne chehroon ke aks dekhay tu ro paray thay
Woh aakhri shaam…
Jab mujhe tum ne kaha tha
Ke chand dekho tu sarsaraati hawa ke
Dil pe meri tamana ke naam koi paighaam likhna
Woh akhri Shaam yaad rakhna…!
Teri nigahon se jab mein apni nigah chura ke
Pallat raha thaa tu tum ne kuch bhi nahee kaha tha
Magar…
Hawa mein nami achanak barh gaee thee**