Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata'oon Gi...

Naya jub chand niklay ga, naya tub roop utray ga
** MeiN khud ko bhee sajaooNgi, usay khud say milaoN gi**

Ujalay rastooN meiN heiN, bahareiN raah tak-ti heiN,
** MaiN uskay sath say in manzarooN ko bhee saja’ooN gi**

** KarooNgi zulf ka saya, Kabhi cheeroNgi aanchal say**
** Agar wu rooth jayee ga tu aisay he mana’ooN gi**

** Wu meri rooh ka saathi, mujhay aisi panah dey ga**
** MeiN apni rooh meiN utray huway dukh bhool jaooN gi**

** Wu mujhko zeest kehta hay, samaghta hay…**
** Wu hasil hay meri is zeest ka usko bata’ooN gi**

Fara

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata’oon Gi…

Wah wah wah fara ji…kya baat hey :):k: … aap to chupi rustama nikleiN :slight_smile: … Saari ghazal hi bohat zabardast hey…lekin ye^ aashaar kuch ziaada pasand aaey…bohat acha likhti heiN aap :clap: … thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata’oon Gi…

bohat alaa…manay k ache tareeqe hain :cb:

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata'oon Gi...

Excellent :)

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata'oon Gi...

**salaam Farah,

bahooot zabardast Ghazal kahii hai aapne...mashaa Allah. ek se baRh kar ek she'r nikaalaa hai aap ne. mujhe to mundarja zel ash'aar bahooot pasand aaye.

***Naya jub chand niklay ga, naya tub roop utray ga*
** MeiN khud ko bhee sajaooNgi, usay khud say milaoN gi

***KarooNgi zulf ka saya, Kabhi cheeroNgi aanchal say*
** Agar wu rooth jayee ga tu aisay he mana'ooN gi

***Wu meri rooh ka saathi, mujhay aisi panah dey ga*
** MeiN apni rooh meiN utray huway dukh bhool jaooN gi

baalaa sel emN lafz-e-"panaah" kaa Harf-e-HE dab rahaa hai aur is HE ko saakit karnaa mere Khayaal se munasib nahiiN :)


maqt'a meN se aapne apnaa "taKhallus" shaayad nikaal diyaa hai is liye misr'a-e-oolaa Khaarij az bahr ho gayaa hai...shaayad aap apnaa taKhallus seGha-e-raaz meN rakhnaa chaahtii haiN :D

aise hii likhtii rahiiye...Allah kare zor e qalam aur ziyaada :)

share karne ke liye shukria. :)

faqat Khaak_nasheeN
_______Hashmat**

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata'oon Gi...

buhat shandar ghazal hai fara ji
shayad apki pehli ghazal hai magar bhuat umdaa likhi hai
but akhri shair me kuch wazan ka masla sa laga hosakta hai k mujhay feel hua ho q k mujhay app logo jitni shayri ki samjh bojh nahi
baqi pori ghaal behtreen hai
thanks for sharing

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata'oon Gi...

Too Good fara! Just amazing!

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata’oon Gi…

Nice Fara :k: Eik aur shayar nice one :k:

Re: Wu Hasil Hay Meri Iss Zeest Ka, Ussko Bata’oon Gi…

FARA LIKA TO BIHAT ZABADAST HI :clap:

par b practical sach may itna sar mat charha lyna;)