Re: Wright, Boon possible candidates as coach?
Zarrorat - e - Rishta Barayay kirkit koch
Aik udher umar magar jawan himmat
qabil bhee aur khoobru bhee
chaheeyay jaldee humay
karayay mehnat khilariyon koh
sikhayay gur kirkit kay khel kay
banayay muqaam qaumee teem ka
ho beshak chahay woh akelay
ho wilayatee aur dunya main mana huwa
layay apnay saath oonchay waaday
Agar aesa na mila koch tau
nikal jayay gee huwa board kay ghubaray say
baj jayay ga band qumi team ka
chalo koiee desi hee mil jayay
bach jayay ezzat bachee kuchee humaree
khuwab hain buhat qaum nay lagayay
pooray na hon tau lagay kee kut
qaum say bhee aur haan jurnail say
aao aao dau darkhawastain
mango waqt mulaqat ka hum say
daingay mauqa hum tumhain zaroor
na sahee tau jana wapis ummeed pay
hoga drama ab khoob rangeela
ho ga aik na aik tum main say duhlah
sawaree ghoree kee milay gee zaroor
naheen tau bethna board kay khotay pay!