Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
payaam aaey hain ussi yaar-e-baywafa kay mujhay
jissay qarar na aaya kuhee bhi bhula kay mujhay
judaaiaa hoon to aisi kay umr bhur na milain
furaib to to zara silsilay burhaa kay mujhay
nushay say kam to nahee yaad-e-yaar ka aalum
kay lay urra hay koi dosh pur hawa kay mujhay
main khud ko bhool chuka tha magar jaha walay
udas choor gaey aaena dikhaa kay mujhay
Sannan
May 16, 2006, 7:01am
42
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
yehi to mai keh rahi hoon ke,
Soocha to mera aks tha aankhon mai tuhari
Dekha to buhat khali nazar aayin wo jhilain
**Leekan Haqeewat Kuch Yeh hay …..
Kuch To Faraz Apnay Qisay Bhi Thay Aisay
Aur Kuch Kahnay Waloon Nay Bhi Rung Bhura Hay**
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
udaasia hoon musulsul to dil hi rota nahi
kabhi kabhi ho, to yey kaifiut bhi piaari luggay
buzaahir aik hi shub hay firaaq-e-yaar magar
koi guzaarnay bethay to ik umr saari luggay
Sannan
May 18, 2006, 10:58am
44
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Zabardust haef e janoon