**Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Intizar Uss Ka Magar Kuch Sooch Kar Kartay Rahay **
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
hmmmmmmmmmmm :) a heart touching verse sannan
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Very nice:-)
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
thx farooq , gul and being loenly
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Buhat achey Sanan ji,,,
Kisi ki yaad mai dehleez pe diye na rakho
kawar sokhi hoi lakriyon ke hotey hain
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
thx Sara
Inn Bay Khawab Kawaroon Ko muqafal kar lo
Aab Yehan Koi naheen koi naheen aay ga
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Buhat achchay ![]()
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Inn Bay Khawab Kawaroon Ko muqafal kar lo Aab Yehan Koi naheen koi naheen aay ga
Sannan ji,, kia kehney apke intekhab ke...
"Tujhey bhi dekh lia shame wadae akhir
Ab aiytebar humain terey nam per bhi nahi"
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Wah Wah Zabardust ....
Ranjish hi sahi dil hi dukhnay k liay aa
aa phir say mujhay chor k janay k liay aa
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
*Sannan ji,,, kia beit bazi ka irada hai??? *
Dekh aa ker kabhi unko jo terey hathon se **
**Aisey ujrey hain ke abaad nahi honey ke
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Main Aur Bait Bazi Aue Woh Bhi Aap Say Tuba Tuba ......
*Tum Aitabar Iss kay liay Keon Uddas Ho
Ek Shakhas Jo Kabhi Bhi Tumhara Naheen Raha *
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
*ha ha ha,,, is pe aik sheir yaad aaya,,, *
Tujhey hai shauq buhat mujh se bait bazi ka
ye sooch le mere pindar se ulajhtey hoye
shikast tera muqadar hai be khaber ke mujhey
hain shier yaad buhat lariyon pe likhey hoye..
toooo... kia khayal hai apka???
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Zara Sanbhal Kar … kia shaer yaad aa gya kissi larki ka hay meray khyal main … wah wah
ISS SHARTT PAY KHAILOON GI PIYA MAI PIYAR KI BAZI
JEETOON TO TUJHAY PAOON HAROON TO PIYA TERI
:bhangra: kia haal hay janab ka ![]()
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Ha ha ha ha,,, Sannan ji,,, **
**hum wo hain jo 2 oro 2 panch bana dain....
***(with due respect)*
***Hum cheen lai ge tum se shane be niyazi*
tum mangtey phiroo ge apna gharoor hum se
wesey bhi har jeet to qismat ki bat hai na,,,
Hum zindagi ki jang mai harey zaroor hain
Lekin kisi muqam pe paspa nahi hoyee
so no need to be worry about result,,,,,,,
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
**wah wah
Zara Sanbhal Kay …
Kia Ishaq Nay Jana Hay , Kia Husan Nay jana hay
Hum Khak Nasheenon key thokar main Zamana Hay **
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
arey hum ne kab kaha ke,, ap ki thoker mai zamana nahi hai,,,,
Apko dedicate kertey hain....
Lakh merey honton pe chup ki muhrain hon
Merey andar ka fankar to boley ga !!
oor yeh humari taraf se apke liye
{Kon dushman teri terhan ka tha
oor hum kis se dosti kertey?}
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Fil Badee Shair Aaya hay …
Zaman Doost Hay kiss kiss ko yaar rakho gay
Khuda Karay Tumhain Mujh say Dushmani Ho Jay
![]()
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
Ahhhh,,,,,, Sannan ji,, yeh kia keh diya apne
Karey safar mai ager rasta badlana tha
to ibteda mai merey sath hi na chalna tha
Re: Wow Nah Aay Ga Hamain Maaloom Tha Uss Shaam Bhi
kia kahnay aap kay sara ji ...... idhar aiyee
Muhabatoon ka kathan safar hay Sarab Rastay Main Soch Laina
Woh Chore Jatay Hain Ek Qadasm Par Jo Sath Chaltay Hain Soch Laina
:)