**du’aa to kar saktaa hai aur is meN kia shak hai magar Khusar saaHab ne apne daamaad saaHab ko yeh raaz bataayaa aur man’a bhii farmaayaa kisii aur ko bataane ke liye, Khaas kar unkii apnii beTii ko…to, ab yeh raaz amaanat kii soorat iKhtiyaar kar gayaa hai aur yeh raaz kisii aur ko bataanaa amaanat meN Khiyaanat ke baraabar ho jaayegaa. yeh to aap bhii jaantii hii hoNgii k amaanat meN Khiyaanat karna gunaah-e-kabeera hai. is liye, is amaanat/raaz ko raaz rakhnaa Islaamii farz ban gayaa hai. **