Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
اس لیے سر جھکائے بیٹھے ہیں
دل میں دل دار آئے بیٹھے ہیں
ہاتھ پر اُن کے تتلی بیٹھ گئی
گل سبھی خار کھائے بیٹھے ہیں
دستِ نازک پہ تتلی نے سوچا
گل ، حنا کیوں لگائے بیٹھے ہیں
رنگ اُڑا لے گئے وہ تتلی کا
گل کی خوشبو چرائے بیٹھے ہیں
شائبہ تک نہیں شرارت کا
کیسی صورت بنائے بیٹھے ہیں
اس سے بڑھ کر بھی کوئی ہے نازک؟
روشنی سے نہائے بیٹھے ہیں
اس لیے پاؤں میں دباتا ہوں
وہ مرا دل دبائے بیٹھے ہیں
ایک بت کا سوال ہے مولا!
من کا مندر سجائے بیٹھے ہیں
اس لیے مطمئن ہیں کوہِ گراں
ہم امانت اٹھائے بیٹھے ہیں
دوسرا موقع **قیس **کیسے ملے؟
ایک دل تھا گنوائے بیٹھے ہیں
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Jin chiraaGhoN ko havaaoN kaa koi Khauf nahiN
Un chiraaGhoN ko havaaoN se bachaayaa jaaye
Baagh meN jaane ke aadaab huaa karte haiN
Kisii titli ko na phuuloN se uDaayaa jaaye
Khudakushi karne ki himmat nahiN hotii sab meN
Aur kuchh din yuuNhi logoN ko sataayaa jaaye
Ghar se masjid hai bahut dur chalo yuN kar leN
Kisii rote hue bachche ko haNsaayaa jaaye…!!!
Sannan
April 6, 2012, 5:04am
24
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
muqawwee123:
Aant :k:
jiia
April 6, 2012, 8:13am
25
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
SHURU RATON KA CHAND THA
PHIR BHI
SARA BAGH ROSHNI SE BHARA HUA THA
JESE HAMARE DIL
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Khushboo hai woh to choo ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajood ke andar utar na jaaye
**khud phool ne bhi hont kiye apne neem-va
****chori tamaam rung ki, titlee ke sar na jaaye
**
aisa na ho keh lams badan ki saza baney
jee phool ka, hawa ki mohabbat se bhar na jaaye
is khauf se woh saath nibhaaney ke haq mein hai
kho kar mujhe, yeh larki kahin dukh se mar na jaaye
shiddat ki nafraton mein sada jis ne saans lee
shiddat ka pyar paa ke khalaa mein bikhar na jaaye
os waqt tuk kinaaro se naddi charhee rahey
jab tuk samandron ke badan mein utar na jaaye
palko ko oski, apne dopattey se poonch doon
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye
Mein kis ke haath bhejoo osey aaj ki dua
Qaasid, Hawa, Sitara, koi oske ghar na jaaye
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Mohabbat rangon ki Titli hai
Jo khusboo dhond leti hai
Magar kion mujh ko lagta hai
Ye saray lafz jhote hain
Agar such hai To bas ye hai
Mohabat Ap Jesi Hai
kabhi gumsum,
kabhi chanchal,
kabhi jugnu,
kabhi badal,
kabhi ye neend jesi hai,
kabhi ye khuwab jesi hai,
Han Mohabbat Ap jesi hai.’
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
BarsoN ke baad dekha ek shakhs dilruba sa
Ab zehn men nahi hai par naam tha bhala sa
Abru khinche khinche se ankhen jhuki jhuki si
BataiN ruki ruki si Lehja thaka thaka sa
**Alfaz the k jugnu aawaz ke safar men
Ban jaye jangaloN men jis tarah raasta sa
**
KhaaboN men khaab uske yadoN men yaad uski
NeendoN men ghul gya ho jaise k rat-jaga sa
Pahle bhi log aaye kitne hi zindagi men
Wo har tarah se lekin auroon se tha juda sa
Kuch ye k muddatoon se hum bhi nahi the roye
Kuch zahr men ghula tha ahbaab ka dilasa
Phir yuN hua k sawan aankhoN men aa base the
Phir yuN hua k jaise dil bhi tha aablaa sa
Ab such kahaiN to yaro hum ko khabar nahi thi
Ban jaye ga qayamat ek waqeya zara sa
Tewar the be rukhi ke, andaaz dosti ka
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa
Hum dasht the k darya hum zahr the k amrit
Nahuq the zo’m humko jab wo nahi tha piyasa
Humne bhi usko dekha kal sham ittefaqan
Apna bhi haal hai ab logo “Faraz” ka sa
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Kache rung utar jane do
Mosam hai guzar jane do
Sheesham ke patton pe pani
Boond boond bajta rehta hai
Barish beet bhi jae to
Der tak tapka rehta hai
Boondon se bhigo dena
Barishon ki aadat thi
Barishon ki aadat hai
Ye bochhar guzar jane do
Kache rung utar jane do
mausam hain guzar jaane do.
Udte hue sukhe tinko ka jodna aur pirona kya,
Andhekh phoolon ka shakhon pe hona aur na hona kya,
Rang badal lena mausamo ki aadat thi… mausamo ki aadat hai….
Shakhein khali kar jane do,
kachche rang utar jaane do,
mausam hain guzar jaane do.
Nadi mein itna hai pani sab dhul jayega,
Matti ka teela hai yeh ghul jayega,
Itni si matti hai, nadiya ko behna hai…nadiya ko behne do…
Sare rang bikhar jaane do,
kachche rang utar jaane do,
mausam hain guzar jaane do.
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
us ne gardan taan ke jhumkay lehraye
chand ne jhuk ker kanoo main sargoshi ki
cho leta hoon khushboo ko asani se
pholoon ki awazein sunta rehta hoon
har ik shak pe khunk hawaoon ki pazebein
chan chan chana chan chanan chanti rehti hain
sawan main jab mousam ne angrahi li
badal barsay hum ne tum ko yaad kia
humein sulagti ankhoon ke sehlanay ko
titli ke par aur tumhara lams bohat hai
ehsan
April 7, 2012, 8:08am
31
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Lagta hai uncle ne jo titli post ki thi wo ud gai.
ehsan
April 7, 2012, 8:29am
33
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Woh titli hee kya joh na urray.
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Ujde huwe gulab pe titli ne beth kar
Shayad kaha ke pyar hai jismon se maawaraa
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
ہوا نہیں کہ جسے دیکھ ہی نہ پاؤں گا
وہ جسم ہے تو اسے ہاتھ بھی لگاؤں گا
شجر شجر سے لپٹ کر مجھے پکارو گے
جب آئی دھوپ سروں پر، میں یاد آؤں گا
جو خواہشیں تھیں مٹا کر حنوط کرلی ہیں
اب اہتمام سے اہرام دل سجاؤں گا
بہت پسند ہیں پھول اور تتلیاں اس کو
میں اب گیا تو پرندوں کے پر بھی لاؤں گا
نبھاہنے کے تصور سے شرمسار نہ ہو!
میں صرف اپنے تعلق کو آزماؤں گا
وہ مل گیا تو اسے گالیاں بھی دوں گا عدیم
گلے لگا کے اسے حال بھی سناؤں گا
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
KHUSHI KI BAAT HAI YA DUKH KA MANZAR DEKH SAKTI HOON
TERI AWAAZ KA CHEHRA MEIN CHU KAR DEKH SAKTI HOON
MUJHE TERI MOHOBBAT NAY AJAB IK ROSHNI BAKHSHI
MEIN IS DUNYA KO AB PEHLE SAY BEHTAR DEKH SAKTI HOON.. **
Parveen Shakir**
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,
Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,
Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,
Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,
Woh dushmani ke bhi qaabil na mujh ko chore ga,
Us aadmi se yeh dil dosti tou kar jaye…
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
dasht-e-shab par dikhai kya dengi
silawaten roshani main ubhrengi
ghar ki deewaren mere jane par
apni tanhaiyon ko sochengi
ungaliyon ko tarash dun phir bhi
adatan us ka naam likkhengi
rang-o-bu se kahin panah nahin
khwahishen bhi kahan amaan dengi
ek khushbu se bach bhi jaun agar
dusari nikahaten jakar lengi
khirkiyon par dabiz parde hon
barishen phir bhi dastaken dengi
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Restored attachments:
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
youn hosla dil nay hara kab tha
Surtaan mera sitara kab tha
lazim tha guzerna zindagi say
bin zaher piye guzara kab tha
kuch pal ussay aur dekh saktay
ashkon ko mager gawara kab tha
hum khud bhi judai ka sabab thay
uska hi qusoor sara kab tha
ab aur ke sath hai to kia dukh
pehle bhi koi humara kab tha
ek naam pe zakham khul Utthay thay
qatil ki taraf ishara kab tha
**aaye Ho to roshni hui hai
is baam pe koi tara kab tha
**
dekha hua ghar tha per kisi nay
dulhan ki tarha sunwara kab tha
Re: Word of Week - Rung, Roshni, Titli, Jugnu
Jeevan Ke Is Safar Mein Woh Lamhe Mitaye Kaise,
Jaate Jaate Yeh To Bata Ja Main Tujhko Bhulaon Kaise,
In Jalti Bujhti Aankhon Mein Jo Pyar Ka Diya Roshan Tha,
Us Diye Ki Roshni Ko Ab Main Bujhaon Kaise,
Tumhi Ne Bataya Tha Ke Tanha Jiya Nahi Karte,
Ab Tanha Chhod Gaye Ho To Khud Ko Samjhaon Kaise,