Chalain ji aj say hum phir say word of the week ka silsila shoro kartay hain. every week hum ap ko ek word dain gay aur ap ko koi asa shair post karna hoga jis mai woh word use ho.
to is week ka word hai
Zindagi
Kitab-e-zindagi ka woh meri khoobsurat baab tha
Youn harf harf parha jaisey woh mera nisaab tha
Sar-e-raah mujhay choor kar jo kisi oor ka ho liya
Wohi shaaks jisey chaha main nay behisaab tha
Rastey ajab the is qadar poocho na kuch bhi tum
hum zindagi ki dorr meiN haarey buri tarha
pehley pehal taqdeer ke likhey pe hum haNsey
rotey rahey phir dard ke maarey buri tarha
Zindgi Me Kuch Lamhe “Khas” Ban Gaye,
** Jo Mile Thy Wo “Mulaqat” Ban Gaye** , Jo Bichre Wo “Yad” Ban Gaye,
** Or Jo Dil Se Na Gaye Wo “Aap” Ban Gaye**
........zindagi kitab ha...........
yeh jo zindagi ki kitab ha
yeh kitab bhee kia kitab ha
kahin ak haseen sa khawab ha
kahin jaan leva azaab ha
...kabhi kho liya kabhi paa liya
kabhi roo liya kabhi gaa liya
kahin rehnaton ki hain baarishen
kahin tishnagi be-hisaab ha
kahin chaaon ha kahin dhoop ha
kahin aur he koi roop ha
kahin cheen lati har khushi
kahin meharbaan be-hisab ha
ya ju zindagi ki kitab ha
yah kitab bhi kia kitab ha.................,
Safar per sath chala tha jo rehbroun ki tarha
** Juda howa wo bhi aakhir musafiroun ki tarha**
** Main sochta houn wo kaisay bichar giya mujh se**
** Jo dhoop main milta tha mujhay badaloun ki tarha**
** Ajeeb shakhs tha hawaoun se dushmani le kar**
** Wo rait per likhta tha mujhay pagaloun ki tarha From**