Word of the Week - Sila

Re: Word of the Week - Sila

**tairay badal jany ka mujhay gila nahee he
mairee wafaaon ka lekin ye sila nahee he

jo muntazir tha gulistaan me tariy deed ka
wo gul moasam e bahaar me khila nahe he

may bilkul tanha raha ye shikwa ghalat he
milay the boht lekin koi tum sa mila nahe he

tum hay abb kis kay pas ja kay mangoo'n me
me toheed ka hon qail maira koi or ila nahe he

yaar bashee bhee kuch kaam na ayee haq
galay milay loag mgar koi dil say mila nahe he
**

Re: Word of the Week - Sila

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,

Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,

Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,

Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,

Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main

Re: Word of the Week - Sila

Ishq qaatil say bhi, maqtool say hamdardi bhi,
Yeh bta kis say muhabbat ki jaza mangay ga.

Sajda Khaaliq ko bhi, iblees say yarana bhi,
Hashr mein kis say aqeedat ka sila mangay ga.

Re: Word of the Week - Sila

Dhoop nikli hai to badal ki rida mangte ho
apne saya mein raho ghair se kya mangte ho

Arsh-e-hashr mein bakshish ki tamanna hai tumhen
tum ne jo kuch na kiya us ka sila mangte ho?!!!

Re: Word of the Week - Sila

maiN Tha chiraagh tu ne Sila kyaa diyaa mujhe
maiN jal buJha tau bazm se uThwaa diyaa mujhe

Re: Word of the Week - Sila

**Main Chahta Bhi Yehi Tha Ke Wo Bewafa Nikle,
Use Samjhane Ka Koi To Silsila Nikle,

Qitaab-E-Maazi Ke Auraaq Ulat Ke Dekh Zara,
Na Jane Kaun Sa Safah Muda Hua Nikle,

Jo Dekhne Mein Bahut Hi Kareeb Lagta Tha,
Usi Ke Baar Mein Socha To Faasle Nikle...
**

Re: Word of the Week - Sila

Dua nahi to gila deta koi,
Meri wafaon ka sila deta koi,

Jab muqaddar hi nahi tha apna,
Deta bhi to kya deta koi,

Hasil-e-ishq faqat dard hey,
Ae kash pahle hi bata deta koi,

Taqdeer mein nahi tha agar asman chona,
Khaak mein hi mila deta koi,

Guman hi ho jata kisi apne ka,
Daman hi pakar ke hila deta koi,

Ek arse se atka hey hichkiyon pe dum,
Acha hota jo bhula deta koi,

Ye zindagi to ro ro ke kat gai,
Kya hota agar hansa deta koi

Re: Word of the Week - Sila

mairay zahan main ya gana aa gia :music:

kabhi bandhan jura lia, kabhi daman chura lia
o sathi ray kaisa **sila diya yah wafa ka
Tairay waday woh irraday
o mitwa ray
Sub kuch bhula dia yah wafa ka kaisa
sila **dia

Re: Word of the Week - Sila

Shukar hai… ye wala yaad nahin aaya

Re: Word of the Week - Sila

Mujhay apna doost yad aagia yah song usn kar :omg: :rotfl:
yah waqa libya main paish aaya tha :hehe:

Re: Word of the Week - Sila

jo waqya Libya main pesh aya tha, wo pesh e khidmat kia jae.

Re: Word of the Week - Sila

PM :wink: