*~* Word of the week *~* -Khawaab-

“Khawaab” is the word of the week. Kindly suggest me word for upcoming week as well

Magar
Khwaab…
Khwaab tu khwaab hote hain
Mere shaour ki aankhoon ne
Jab dekhna seekha tu khwaab nahee dekhay
Khwaab dekhne ki khwaahish
Aur
Us ke azaab dekhay

re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

**Nxt week me open krdoun ga thread, aap bs sticky kr dena **:cb:

re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Tabeebon Sy kiya Poochun Ilaaj-e-Dard-e-Dil Mohsin
Marz jab Zindagi khud ho to ‘Dawa’ kesi ‘Dua’ kesi!!!

re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi

Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

**

**

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain

Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain

Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain

Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain

Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Khwaab marte nahin
Khwaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
Rezaa-rezaa hue to bikhar jayein ge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayein ge

Khwaab marte nahin
Khwaab to roshni hain, navaa hain, hawa hain
Jo kaale paharon se rukte nahin
Zulm ke dozakhon se bhi pukhte nahin
Roshni aur navaa aur hawa ka alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukte nahin

Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to suqraat hain
Khwaab mansoor hain

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Is bhai word q change kr dia :emmy:

Umar Bhar Ki Chahaton Ka Khawab Aankhon Main Liye
Dekh Lena Tum Bhi Bichar Jao Ge Eik Din Ouron Ki Tarah

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

kyo k zindagi pehle b use ho chuka hay may main is laiye

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

ashk.e.jaana ki khair ho ya rab
khawaab ankhon samait toota hai!

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

*Ajeeb khawish ha sehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon
Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoon

Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari aankahin galay mileen theen
Main kis tarhan ab mohabbatoon ki tish nage k aazab likhoon

Tumhi nay meray ujar rastoon pay khawishoon k diea jaliea
Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahoon k gulaab likhoon

Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi
Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon k **khawab **likhoon

Main tanha larki dayar-a-shab main jaloon sach k diea kahan tak
Siyah karoon ki saltanat main main kis tarhan aftab likhoon

Zidatoon k jinoon main jis k qadan lahoon say rangay hwea hain
Woh meray bas main nahi hain logon! k unko izaat-a-maab likhoon

Yahi bohat ha k in laboon ko sada say mehroon kar k rakh doon
Magar ya kaisi muslahat ha samandaroon ko saarab likhoon
*

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

.

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Ye na kar gumaan jannan
Teri iss shikastagi ka
Khuwab kuch madawa hey
Khuwab hi to hey aakhir
Iss ko toot jana hey

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

Khvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
aisii tanhaaii kay mur jaane ko jii chaahataa hai

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

aao ki koii Khvaab bunen kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Dus legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na koii hasin Khvaab bun sakein

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

http://files6.fliiby.com/images/_original/ax1j4psd04.jpg

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

http://i50.tinypic.com/u54qa.jpg

Re: ~ Word of the week ~ -Khawaab-

http://i47.tinypic.com/2vjpdo9.jpg