Word Of The Week I

Asalam u Alaikum Everyone!!

Kaise hain aap log? I am starting this thread “Word Of The Week” Jis mein aik “Word” rakha jaa’ey ga … Jis pe sirf ashaar post kiye jaayen ge.

So the word of this week is **“Bahaar”
**So what are u waiting for ?
Let’s start.
Rules :

  1. Shair should be genuine and not your own. Post your own in Bait Bazi — Personal Edition of Sho’ra-e-Gupshup.
  2. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Rubai, qita) at max will be allowed.

yeahh the word of the week is back :hula:
thanks for starting it being :flower1:

ug rahaa hai dar-o-diivaar pe sabzaa "Ghalib" ham bayaabaan mein hain aur ghar mein bahaar aaii hai

:chai:

Dekh jaa aa ke mehaktay huye zakhmon ki bahaar
Mein ne ab tak tere gulshan ko sajaa rakhaa hai

Re: Word Of The Week I

Dil Gulistaa'n Tha To Har Shay Se Tapakti Thi **Bahaar** Dil Bayabaa'n Kya Hua , Aalam Bayabaan Ho Gaya !

Re: Word Of The Week I

Din Zindagi Ke Kaise Katein Ge **Bahaar** Mein Tum Ikhtiyaar Mein Ho Na Dil Ikhtiyaar Mein


jab bahar aai tu sehraaa ki taraf chal nikla
Sehan-e Gul chore cla dil mera paagal nikla

Dua bahar ki maangi Tu itnay phool khilay
kahin jagha na mili meray aashiyaanay ko

Re: Word Of The Week I

Khizaa'n To Kher Khizaa'n Thi Gila He Kya Is Ka Magar **Bahaar** Ke Din Aur Bhi Giraa'n Guzray

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Chaman Khijan Se Ujar Gaya
Main Usi Ki Fasl E Bahaar Hoon.


Bahaar aik chubhan thi main os ka kia karta
khizaaN to zakham hai aur zakham dil ko lagta hai

Zindagi phool kee kaanToN pe guzar jaati hai
Log kehtay haiN ke gulSHan maiN bahaar AAi hai

Gaye gulistaaN maiN hum BHi baarha lekin
kaBHi bahaar say pehlay, kaBHi bahaar kay baad

Bhari bahaar main ab kay ajeeb phool khilay?
Na apnay zakham hee mehkay na dil kay chaak silay

:wave:^

bahaar ik khud-fraibi ka hy arsa
khizaaN mosam tumhari yaad ka hy

Re: Word Of The Week I

Raat Yon Dil Mein Terii Khoii Huui Yaad Aaii Jaise Veeranay Mein Chupke Se **Bahaar** Aajaye

TaaroN kee bahaaroN maiN BHi Qamar tum afsurda rehtay ho
PHoloN ko tu deKHo kaanToN maiN hans hans kay Guzara kerta haiN

Bahaar kya ab khizaan bhi mujh ko galay lagaye to kuch na paye
mai barg-e-sehra ho, you bhi mujh ko hawa uraye to kuch na pataye
usay ganwa kar khud usko panay ka shoq dil mai you hai mohsin
kay jasay pani mai daira sa koi banaye to kuch na paye

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake ki Gu.Nche khil to sake khil ke muskuraa na sake

:naak:


Suna hay, shikaar-e- khizaan ho kar bahaar ki rut mein
jo shajar sookh jatey hain wuh phir harey nahin hotey

Re: Word Of The Week I

Nice contribution Shab & wiseguy :clap: