Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

Bas ek chup si lagi hai
nahin udaas nahi

kahin pe saans ruki hai
nahin udaaas nahi
bas ek chup si lagi hai
koi anokhi nahin

aisi zindagi lekin
khoob na ho
koi anokhi nahin
aise zindagi lekin
khoob na ho
mili jo khoob mili hai
nahin udaas nahin
bas ek chup si lagi hai.

sehar bhi ye raat bhi
dopaher bhi mili lekin
hami ne shaam chuni
hami ne shaam chuni hai
nahin udaas nahi
bas ek chup si lagi hai

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

:lajawab: zabardast FARI

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

ye nuur kaisaa hai
raaKh kaa saa rang pahne
barf kii laash hai
laave kaa saa badan pahne
guuNgii chaahat hai
rusvaa’ii kaa kafan pahne
har ek qatraa muqaddas hai maile aaNsuu kaa
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par
ye kaisaa shor hai jo be-aavaaz phailaa hai
rupahlii chaaNv meN – badnaamioN kaa Deraa hai
ye kaisii jannat hai jo chaunk-chaunk jaatii hai
ek intizaar-e-mujassam ka naam – Khamoshii
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisii?
dar-o-diivaar kahaaN ruuh kii aavaargii ke
nuur kii vaadii talak lams kaa ek safar-e-taviil
har ek moR pe bas do hii naam milte haiN
maut kah lo – jo muhabbat nahiiN kahne paa’o

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

aey Qabristan teri aagosh mein itna sannata kyu hai
log to apni jaan day ker tujhe aabaad kartay hain

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

BE SHAK ESI KA DOSH HEY,KEHTA NAHI KHAMOSH HI
TO AAP KER ESE DAVA,BEEMAR HO ACHA TERA
BEDARD,SUNNI HO TO CHAL,KEHTA HI KIA ACHI GHAZAL
AASHIQ TERA,RUSVA TERA,SHAER TERA,INSHA TERA

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

Apni tanhaiyon se poocha hai
Shab-e-hijran se baat ker li hai
Mere andar ki sehmi khamoshi
Mere bahir ka hansta chehra bhi
Raat ke sansanate lamhe bhi
Din ka dasta huwa ujala bhi
Zabt ka toot’ta yeh bandhan bhi
Sabar ka choot’ta yeh daman bhi
Uss ki yaadein bhi kuch isharon mein
Mujh ko majboor ker rehe hein sab…
Aao uss ke paas chalte hein
Uss se kehte hein kuch dawa ker dey
Apni fitrat ko chor ker ek pal
Koi wada tau woh wafa ker dey
In ki baaton se kuch nahi ho ga
Aakhri faisla tau dil ka hai
Dil yeh kehta hai…uss se milne se
Apni tanhaiyan he acchi hein
Ab akele mein lag gya hai dil
Uss se milne hamein nahi jana
Uss ki baatein udas ker dein gi

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

Be sabab to na thi teri yadein
Teri yaadon se kya nahi seekha

Zabt ka haosla badha lena
Aansoon ko kahein chupa lena
Kanpti dolti sadawon ko
Chup ki chadar se dhanp kar rakhna
Be sabab bhi kabhi kabhi hasna
Jab bhi ho baat koi talkhi ki
Mouzoey guftago,
badal dena........ .....

Be sabab to nahi teri yaadein
Teri yadon se kya nahi seekha !

Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata

Yah Tumhara SMS hay kah Cycle
ghanti bajata rahta hay
aur bus poetry ka sanata torta rahta hay

:cobra: