Ik nigah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan
main kitna tanha betha hoon qurbat k veeraney main
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy…!!!
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
phir vohi main hon vohi shehar badar sannata
mujko dass ley na kahin khaak basar sannata
dasht e hasti mein shab e gum ki sehar karney ko
hijar valon ne liya rakhat e safar sannata
kis se puchon k kahan hai mera roney vala
is taraf mein hon, merey ghar se udhar sannata
tu sadaaon k bhanvar mein muje avaz to dey
tuj ko dey ga merey honey ki khabar sannata
us ko hungama manzil ki khabar kia do gey ?
jis ne paya ho sir e rahguzar sannata
hasil kunj e qufas , veham bakaf tanhai
ronaq e shaam e safar , ta ba sehar sannata
qismat e sha'ir e seemaab sifat , dasht ki mout
qeemat e reeza almaas e hunar sannata
Jaan e Mohsin meri taqdeer mein kab likha hai
dobta chaand , tera qurb , gajar , sannata
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
poetry walo Itna sannata kyon hai?
Kitni deir se sms ki ghanti nahi bajee
Yeh sarey network fuse hogaye hain
Ya merey dost hi kanjus hogayehain
![]()
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Deepak raag hai chahat apni kahay sunain tumhein
Hum tou sulagtay he rehtay hain kahay sulgain tumhain
Turk e mohabbat , turk e tamanna kar chuknay kay baad
Hum pay ye mushkil aan padi hai kaisay bulain tumhain
**
Dil kay zakhum ka rung tou shaaid aankhoon main bhar aaye
Rooh kay zakhmoon ki gehrai kaisay dekhain tumhain **
Dard humari mehroomi ka tum tab janoo gay
Jab khanay aaein gi chup ki saaen saaen tumhain
**
Sunnata jab tanhai kay zeher mein bujhta hai
Woh gharriyaan kyun kar katti hain kaisay batain tumhain**
Jin baatoon nay piyar tumhara nafrat main badla hai
Dar lagta hai woh batein bhi bhool na jain tumhain
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
**shaam ka sannata ab bolne laga hay
zehar ragon mein phir gholne laga gay
teri yadon ki barish ab tak nahin thami
ik shidat e ehsas se dil dolne laga hay**
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Dola re dola re man dola ![]()
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Khamoshi gumnaam hai mujh mein
khwaab ka koi aant nahiN,
Khoya kya ye dhoondh rahe hain
Kuch paane ka hai iilm nahiN..
Sannata bhi chup lagta hai
Raat magar sunsaan nahiN,
Goonj rahiN dheron awaazeN
Labzon ka bhi anumaan nahiN..
Kya hai tamanna jiski khatir
Bechain bhi hain aur chain nahiN,
Sau raasteN hain chalte jane ko
par jante hain koi anjaam nahiN...
Bas pankh lage aur udd jati hai
rukne ka phir naam nahiN,
ye soch hai sirf,ya phir hai tamnna
ye jaan sake, aasaan nahiN,
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
**phir wohi main hon wohi shehar badar sannata
mujko dass ley na kahin khaak basar sannata
dasht e hasti mein shab e gum ki sehar karney ko
hijar walon ne liya rakhat e safar sannata
kis se puchon k kahan hai mera roney vala
is taraf mein hoon, merey ghar se udhar sannata
tu sadaaon k bhanvar mein muje awaz to dey
tuj ko dey ga merey honey ki khabar sannata
us ko hungama manzil ki khabar kia do gey ?
jis ne paya ho sir e rahguzar sannata
hasil kunj e qufas , veham bakaf tanhai
ronaq e shaam e safar , ta ba sehar sannata**
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Usay apne farda ki fikr thi, wo jo mera waqif e haal tha
wo jo uski subh e urroj thi, wohi mera waqt e zawaal tha
Mera dard kaise wo janta, meri baat kaise wo maanta
wo to khud fanaa ke safar pe tha, usay rokna bhi muhaal tha
Wo jo uske samne aagaya ,wohi roshni main nahaa gaya
Ajab uski haibat e husn thi, ajab uska rung e jamaal tha
Wo mila to sadiyon ke baad bhi, mere lab pe koi gila na tha
Usay meri chup ne rula diya, jisay guftugu main kamal tha
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Titliyon ke mosam main nochna ghulabon ka, reet is nagar ki hay aur jane kab say hay ....
Daikh ker parindon ko bandhna nishanon ka, reet is nagar ki hay aur jane kab say hay ..
Tum abhi naye ho na isi liay parayshan ho, asmaan ki janib is tarha say mat daykho
Afatain jab aani hon totna sitaron ka, reet is nagar ki hay aur jany kab say hay
Shehr kay ye bashenday nafraton ko bo ker bhi, intazar kertay hain kay fasl ho muhabat ki
Bhool ker haqiqet ko dhondna sarabon ka, reet is nagar ki hay aur jany kab say hay
*Khamoshi mera shewa guftagu huner us ka, mari baygunahi ko log kaysay manain gay
bat bat per jab ke mangna hawalon ka, reet is nagar ki hay aur jany keb say hay
*
ajnabi si rahon main ajnabi musafer say, apnay her taaluq ko daa'imi samj layna..
Aur jab bicher janna mangna duwaoon ka, reet is nagar ki hay aur jany keb say hay.
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Teri khamoshi yun utar gayi Mere Wajood Main
K ab kisi say Guftugu karna Mje acha nahi lagta..... :(
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
khaamoshi..!!
zubanaiN gung bhi ho jayeN..
to nazraiN chup nahin rehteeN..
ke jazboN ko ma'aani ke pehnaway...
dainay walay sab ke sab
alfaaz kahiN kho bhi jayeN to
gham-e-dil ki sisakti aah..bapa tufaan rakhti hai
zubanaiN gung bhi ho jayeN
to kanoN main bhatakti si
meri bay jan khaahish ki sanam woh aakhri hichki
bohat halkaan rakhti hai...
mujhe pehroN rulati haiN..teri pur soz nigahaiN
tera khamosh sa maatam
mere jeenay ki tamanna.....
mere marnay ka woh aalam...
kahaN alfaaz ki mohtaaj hoti haiN, kaho aahaiN ??
ke tum ne bhi saha hoga koi chup chaap sa lamha..
koi khaamosh sa woh pal, ke sadiyoN pe jo bhaari ho...
kabhi woh talkhi-e-doraaN ke zehar say bhi kaari ho...
musaafir..sun !!
safar khaamosh bhi reh lay to bolaiN gi katthin rahaiN...
zubanaiN gung bhi ho jayeN to nazraiN chup nahin rehteeN...!
utha rakhti hai hangamay..
mere humdam..mere humdam..!!
khaamoshi..chup nahin rehti...
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
:k: nice. reminds me line from Amjad Islam Amjad ‘Pyar karne walon ko ik nigah hi kafi hai’
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
^ thanks ![]()
Khamoshi!
Udaas rut , intezar mausam …
Hawa ki yakh basta aahato’n se paray …
Khamoshi ki zard chaadar badan per aurhay …
Khizaa’n raseeda shajar ki tehni pay jhoolta chaand keh raha hai …
Kay so bhi jao …!
Kay so bhi jao udaas logo …!
Woh anjuman jis ki jhilmilati tamam shamaei’n …
Tamam raatai’n …
Taman baatai’n …
Kabhi tumhari muhabbato’n se bharay zamano’n ki tarjumaa’n thee’n …
Kabhi tumharay tamam lamho’n pey meherbaa’n thee’n …
Woh anjuman ab tumhari socho’n se door …
Khuwabo’n ki dastako’n se paray sajay gi …
Wahan yeh nobat nahi bajay gi …
Kabhi tumharay badan ki khushbu se khailti thi jo raat raani …
Woh hijr kay adh khulay dareechay main haanptay huay …
Aakhri saans lai rahi hai …
Udaas logo …!
Ujaar aankho’n kay aayeenay tor do kay in main …
Naa koi aks nigaar hasti …
Naa koi basti he basa sako gay …
Bas ik mata’a-e-hayaat baqi hai ab jisay tum …
Ganwa sako gay …
To is se pehle kay saans ki dori toot jaye …
Hawa ki hatheli say …
Khushbuo’n ka har ik rishta he toot jaye …
Kiran kuwaro’n ko band kar kay …
Ujaar khuwaabo’n ki rehguzar ka ghubaar ankho’n main bhar k …
Har soo hawa kay haatho’n bikhar bikhar kay …
Khud apnay andar kay dukh ki mitti main kho bhi jao …!
Hawa yeh kehti hai so bhi jao …
Udaas rut …
Intezaar mausam …
Kabhi kisi kay na hosakaingay …
Udaas logo …!
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
khamoshi mein kisi sey guftago karna
Nehayat acha lagta hai
Khamoshi gungunati hai
Khamoshi muskurati hai
Khamoshi raks karti hai
Khamoshi guftago ko aik naya saz deti hai
Yeh ankhon mein utarti roshni ko rang deti hai
Yehe to rasta hai
Un kahe batten samjhny ka
Utar jany ka dil mein
Zara tum ghor sy sunna
Mere khamoshyon mein kon se hain baten posheda
Zara tum ghor karna
Mere ankhon mein kitny rang utarty hain
Or tumhen awaz detay hain
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Main to iss waste chup hoon ke tamasha na bane
Tum samajhte ho mujhe tumse gila kuch bhi nahin
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Gehri Khamoshi Se Dosti Yun Ho Gayi,
Waqt Ki Raftaar Mei Har Khushi Kho Gayi,
Bune Humne The Kuch Sapne Jo In Aankhon Se,
Badkismati Ki Aandhi Aayi Sab Kuch Dho Gayi…
Re: Word of the Week - Chup, Khamoshi, Sannata
Khamoshi main bhi ho jaati hai sab haalat ayaaN meri
Ma chup rehta hooN keh deti haiN aankheiN daastaaN meri
Isi ma hai bhalaii sab ki sun looN aor na kuch bolooN
Ke aksar daalti hai mujh ko mushkil main zubaaN meri
Khudaya jald hi aasaar paida wasl ke kar de
TaRapte’ woh udhar haiN hai buri haalat yahaaN meri
Duaa ko haath to uthte’ haiN lekin dil ye kehta hai
Mere’ ho jaayeiN wo aisi bhala qismat kahaaN meri
Kehi thi jin se dil ki baat, sab se kahte’ phirte’ haiN
So ab to ban gaii hai saari dunya raazdaaN meri
YuuN hi khinchta chala jaaye ga dil us ki taraf Sarwat
YuuN hi ek roz wo ban jaaye gi phir jaan-e-jaaN meri

