Nothing Personal ![]()
doosri aur teesri tasveer par ‘catwoman’ aur ‘nia’, donon ‘panjay’ jhaar kar aapkay peechay parr jayengi i am SURE
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
meray khuda, mujhay wo taab-e-nay-nawaayee day,
main chup rahoon bhee to naghma mera sunaayee day…
chalakk na jayoon kaheen main, wujood say apnay,
hunarr diya hay to phir zarf-e-kibriyayee day..
mujhay kamaal-e-sukhann say nawaaznay waalay,
sama’aaton ko bhee zoq-e-aashanayee day..
Array confused bahi unka in say kya wasta
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
http://www.gupistan.com/gallery/4/wei4.jpg
[This message has been edited by juMurA (edited July 05, 2001).]
hahahahahahahahahahahaha
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif
Maybe i should be offended, but i think this is funny, brother post more
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
This is really funny, but so not true
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/rolleyes.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/rolleyes.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/rolleyes.gif
Wo baraa raheem aur kareem hai, mujhai yeh sift be ataa karai…
Tujhai bhoolnaiki mai duaa karoon, to mairee duaa mai aasaar na ho
Hehe!
Let me refrase that all "Women are superior in their own cosy lil kitchen and thats it".
hahahahahahahahahaha…you guys are killing me
haha
for appkiamanat
LOLLLLLLLLLLL@ this last submission .. <LAST NERVE?
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif
*meray khuda, mujhay wo taab-e-nay-nawaayee day,
main chup rahoon bhee to naghma mera sunaayee day…
chalakk na jayoon kaheen main, wujood say apnay,
What are men up to…
test
heading: shakwa-e-shoharr
brackets: rooh-e-iqbaal say maazratt ke sath…
hay baja halqa-e-azwaaj mein mashoor hoon main,
tera bera, tera dhobi, tera mazdoor hoon main,
zann mureedi ka sharf pa ke bhee ranjoor hoon main,
qisssa-e-dardd sunaata hoon ke majboor hoon main,
meri makhdooma meray gham ki hikaayatt sunn lay,
naaz bardaar say thori si shikaayatt sunn lay,
zachaa bann bann ke budget mera khataaya tu nay,
harr naye saal niya gull hay khilaaya tu nay,
apna ‘showroom’ meray ghar ko banaaya tu nay,
jiss main harr rangg ka model hay sajaaya tu nay..
gora bhee hay kala bhee kana bhee hay kani bhee,
iss main english bhee hay desi bhee hay, japaani bhee
<
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/redface.gif
rishtaydaaron nay teray jaan meri khai hay,
fojj ki fojj jo meray gharr main jo ‘darr’ ayee hay..
koee mamu, koee khalu hay, koee bhai hay,
baat kehnay ki to nahin, tu bhee to harjayee hay,
kaisay ghurbatt mein main paaloon teray ghamkhuwaaron
ko,
inn mamoolon ko samjhaa loon ke chiree maaron ko,
kiss qadarr tujh pe giraan subah ki baydaari hay,
uth ke choolay ki taraf jaana tujhay bhaari hay..
<Iss par shaamat aani hay sirjee ki jinhoon nay ye post
kiya hay ehehehehehe>
mujh sa kabb pyar hay, haan neend tujhay piyaari hay
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary.gif
tu hee keh day yahi inaam-e-wafadaari hay,
main wo shoharr hoon ke khud aag jalayee jisnay,
laa ke bister pe tujhay chai pilayee jisnay,
tu hi keh day ke tera husun nikhaara kisnay,
iss ‘blackout’ say mukhray ko sanwaara kisnay,
konn teray liyay darzi say gharaara laaya,
waasta day ke ghareebi ka khudaara laaya..
phir bhee mujh say ye gila hay ke kamaata kamm hoon,
lay ke shopping ke liyay tujhay main jaata kamm hoon,
nojawaani main aish tujhay karaata kamm hoon,
aur plaaza main tujhay film dikhaata kamm hoon,
kaash noton say hukoomatt meri jaibain bharr day,
mushkilain shoharr-e-mazloom ki aasaan karr day,
mehfil-e-shair-o-sukhann main to chamakk jaata hoon,
**teri sarkaar main pahunchoon to dabakk jaata
hoon**,
tu jo balghamm bhee khankaaray to thatakk jaata hoon,
ghoor ke dekhay to peechay ko sirakk jaata hoon,
phir bhee mujh say ye gila hay ke wafaadaar nahin,
tu hay bay-kaar teray paas koee kaar nahin..
meray khuda, mujhay wo taab-e-nay-nawaayee day,
main chup rahoon bhee to naghma mera sunaayee day…
chalakk na jayoon kaheen main, wujood say apnay,
hunarr diya hay to phir zarf-e-kibriyayee day..
mujhay kamaal-e-sukhann say nawaaznay waalay,
sama’aaton ko bhee zoq-e-aashanayee day..
Confused thanx
for excelent translation