**kisi ny kaha phool se keh
mujh ko bata
tu Aaj tak kyon khilta raha
tu ny to di sab ko khushbu tujh ko kya millta raha?
phool ny muskura kar kaha abhi tu nadan hai
jeewan k sachey pyar say abhi tu Anjan hai
dene k badle kuch lena
woh to ek karobar hai
jo day kr bhi kuch na mange
wohi sacha piayar hai**