**Kaheen tum apni qismat ka likha tabdeel kar letay
Tu shayad hum bhi apna raasta tabdeel kar letay
Agar hum waqaee kam hausla hotay muhabbat main
Maraz barhne se pehlay hi dawa tabdeel kar letay
Tumhare saath chalne per jo dil raazi nahee hota
Bahut pehle hum apna faisla tabdeel kar letay
Tumhain in mausamoon ki kia khabar milti, agar hum bhi
Ghutan ke khauf sey aab-o-hawa tabdeel kar letay
Tumhare tarha jeenay ka hunar aata, to phir shayad
Makaa’n apna wohi rakhtay pata tabdeel kar letay
Wo’hee kirdaar hain taaza kahani main, jo pehley bhi
Kabhi chehra kabhi apni qaba tabdeel kar letay
Judai bhi na hote, zindagee bhi sehal ho jati
Jo hum ik doosrey sey mas’ala tabdeel kar letay
Hamesha ki tarhaan is baar bhi hum bol uthey, warna
Gawahee deney waley wa’qiya tabdeel kar letay…**