Yeh dukh ki bargah hai
Yahan ham aajiz o bay bas hamesha
Naheen dam marnay ka koi yara…!
Naheen hai junbish-e-lab bhi guwara…!
Yeh dukh ki bargah hai.
Yahan per narasayi ka rakou hai.
Shikasht e aarzo hai mounh kay bal
Yahan qaa’day mein aahoon ki shahadat
Yahan par rasm-e duniya ko salami
Yahan par phair di jati hain wapis sab dua’en
Yeh zalim badshah hai
Yahan jati hai har faryaad khali
Chunni jati hain jazboon ki pas e deewar kaliyaN
Yeh dukh ka na khuda hai.
Yahan gardab mein har dam safeena dil ka rehta hai.
Yeh dukh ka aastana hai.
Jawani iskay dar par roz aakay sar patakti hai.
Muhabbat haath malti hai.
Yeh aahoon kay chardhaway
Aanso’un kay guhr mangay hai.
Yeh dukh ka aatashin ma’bad hai
Yahan par to khud ki aankh bhi pathrayi jati hai.
Yahan sakat umeedain
Aur charaagh-e aarzo, gum sum
Yahan par sirf aangaroun kay ooper raqs hota hai!
Yeh maqtal husn ka hai
Aashqi ki aakhri manzil
Yahan sajda nahi karna
Yahan say laot jana hai
Yahan say laut kar mujh ko
Ussi ki taraf jana hai.
Jo meri zair-e lab
Sari dua’en aur sari iltaja,iaN sunta rehta hai
Meri kashti ko deta hai sanbhala
Meray bay maya ashkoun ko guhr afroz karta hai
Meri umeed kay bujhtay diye ko aut deta hai
Mera chehra zia-e ishq say tabinda karta hai.
Jo meray ishq ko pa’inda karta hai
Wohi Allah hai, Allah hai, Wohi Allah hai…Allah
**(huwallah hullah zi lla e laha illallah)
** (soorah e Al Hashar)ki akhari aayat. ye aayat subah or sham ki namazoon k sath padhane se dil pur sakoon rehta hai…main ne chaha kh ap se bhi ye kafiat share karoon.
Shan