Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke qisay........

[INDENT=2]***Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke qisayy
Gul-o-gulzar ki batain ’ lab-o-rukhsaar ke qisay,

Yahan sab ke mukaddar main fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasane hain wasal-e-yaar ke qisay,

Bhala ishq-o-mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno ! tum ko sunata hoon mein karobar ke qisay,

Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae’b hai mujh main
Sar’e deewar likhta hon main pas’ey deewar ke qisay,

Main aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain ’ wohi bekaar ke qisay …!!!***
[/INDENT]

Re: Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke qisay........

beautiful

Re: Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke qisay........

buhut khoob :)

Re: Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke qisay........

nyce .. :D