Wohh bota yaad ata hey - Wohh bohat yaad ayeye ga
Chala giya hey, na aneye ko wapas
Bata ker nahee giya
Uss keye dil mey koe chupa raaz tha
Behlana chata tha
Samhajta tha, khel ley ga
Wohh azma ker nahee giya
Runjish kee baat kerta raha
Sulghata raha,
rooh kee satchaee ko,
Jhooth sey dabata raha
Kaisa asr hey iss ka ubb mujh per?
Israr heye dil ka, bhool jana chahiyeye mujhey iss ko
Gerche kutch ziyada jaan pehchan na howee thee abhee
Iss ko pata nahee
Iss chubhan ka ehsas kiya hey
Wohh kitna yaad ata hey
Iss keye behlawey kee mehrbani
Wohh janta nahee keye
Wohh bohat yaad ayeye ga