woh waqt meri jaan bahut door naheen ha ....

Woh waqt meri jaan bahut door naheen ha
jab derd say ruk jayeein gi sab zeest ki raheein
aur hud say guzer jaye ga andoh-i- nahani
thak jayeein gi tersi howi naqaam nighayein
chin jayeein gay mujh say mery aanso meri aahein
chin jaye gi mujh say meri beqaar jawani

shayad meri ulfat ko bahut yaad karo gi
apnay dil-i-masoom ko nashaad karo gi
aao gi meri goor pay tum ashq bahanay
no.kheez baharoon kay haseen phool cherhanay

shayad meri turbat ko bhi thukra kay chalo gi
shayad meri besood wafaoon pay hansoo gi
is wazah-i-karam ka bhi tumhain paas na hoga
lekin dil i nakam ko ihsaas na ho ga

Alqisa maal-i-gham i ulfat pay hansoo tum
ya ashq bahati raho feryad karo tum
mazi pay nadamat ho tumhein ya musarat
khamoosh para soye ga dermanda-i-ulfat

beautiful:k::k:
thanks for sharing:)

Re: woh waqt meri jaan bahut door naheen ha …

bhut khoob:k:

nece :k:

:k: zabur10