http://i55.tinypic.com/5kpool.jpg
Bahut khamosh reh kar woh sadaayain mujh ko deta thaa
Bare bhar-poor jazboon ki qabayyain mujh ko deta thaa
Kabhi jo dard ki aatish mujhe sulghaane lagti thee
Woh apne saans ki mehki hawayyain mujh ko deta thaa
Woh us ki chaahattain bhi sari duniya se anookhi theen
Riyaazat khud woh karta thaa, jazayyain mujh ko deta thaa
Mere ehsaas ke sehraoun mein jo dhoop barhti thee
Woh mausam ka Khuda ban kar ghattayain mujh ko deta thaa
Ussay mein ajnabi samjha magar har morr per ‘Ramish’
Woh apne naam ki sari duayain mujh ko deta thaa …
*