Tujhey kaha na tu hamesha se raeigan mujhe to sochta hai , woh tu nahin hai
Jo meri chahat meri muhabbat ki dhoop chha’on ka zaviya hai, woh tu nahin hai
Teri rafaqat ki chha’on meri hayat bhi kainat bhi aur nijaat bhi
Magar yeh mujh mein jo shairi ki fizaein humwar ker raha hai , woh tu nahin hai
yeh chaar shamein jo mautabar si fiza mein hum nay guzar li hain tou yeh ghaneemat
ab iss say aagey jo muntazir ik charagh aasar rasta hai, woh tu nahin hai
yeh teri aankhon kay aaeinon per jo aik khwahish jami hui hai, woh mein nahin hun
jo meray honton pay ik harf e duaa mahinon say jal raha hai, woh tu nahin hai
mein manti hun meray khwabon mein teri khush bu ki chandni bhi kahin kahin thee
yeh shehr laikin meray havalay se tasleem kar raha hai , woh tu nahin hai
Visal e mausam kay khwab mein thee ya hijr kay benishan dukh kay azab mein hun
jo saya saya ikhat’ta ker kay dukhon se mujh ko nikalta hai ,woh tu nahin hai
OMG...yeh kaun sii bahr hai? yeh bahr to 'shaitaan kii aaNt' jaisii hai jiske ek chhor se duraa chhor nahiiN dikhtaa...aur kia yeh bataayenGii k yeh kis shaa'ir kaa kalaam hai? is bahr ko sambhaalnaa joo-e-sheer laane ke mutaraadif hai! i don't even know if it is in bahr lol.