Woh Teri Tarah Koi Thi!!

Yoonhi dosh per sambhaale
ghani zulf ke do shaaley
wahi saanwali si rangat
wahi nain neend waale

Wahi man pasand qaamat
wahi khushnuma sarapa
jo badan mein neem khaabi
to lahu mein rat-jaga sa

Kabhi piyaas ka samandar
Kabhi aas ka jazeera
wahi meherbaan lehja
wahi mezbaan wateera

Tujhe shaairy se raghbat
usey shair yaad mere
wahi uss ke bhi qareenay
jo hain khaas wasf tere

Kisi aur hi safar mein
sar-e-raah mil gayi thi
tujhe aur kia bataoon
woh teri tarah koi thi!

Kisi sheher-e-be-amaan mein
main watan badar akela
kabhi maut ka safar tha
kabhi zindagi se khela

Mera jism jal raha tha
woh ghata ka saaibaan tha
main rafaqaton ka mara
woh meri mizaaj daan tha

Mujhe dil se usne pooja
usey jaan se maine chaha
isi humrahi mein aakhir
kahin aa gaya doraha

Yahan gumrahi ke imkaan
usey rang-o-bu ka lapka
yahan laghzishon ke saman
usey khaahishon ne thapka

Yahan daam they hazaron
yahan har taraf qafas they
kahin zar zameen ka daldal
kahin jaal they hawas ke

Woh fazaa ki faakhta thi
woh hawa ki raaj putri
kisi ghaat ko na dekha
kisi jheel per na utri

Phir ik aisi shaam aayi
keh woh shaam aakhiri thi
koi zalzala sa aaaya
koi barq si giri thi

Ajab aandhiaan chaleen phir
keh bikhar gaye dil-o-jaan
na kahin gul-e-wafa tha
na charaagh ehed-o-paimaan

Woh jahaaz uter gaya tha
yeh jahaaz uter raha tha
Teri aankh mein hain aansu
mera dil bikhar raha tha

TU JAHAN MUJHE MILI HAI
WOH YAHEEN JUDA HUI THI
TUJHE AUR KIA BATAOON
WOH TERI TARAH KOI THI !!!

Re: Woh Teri Tarah Koi Thi!!

Welcome back on the poetry forum :bb: nice nazm Sid_NY thx for sharing !

good1 :-)

Re: Woh Teri Tarah Koi Thi!!

nice :)

Re: Woh Teri Tarah Koi Thi!!

v.nice..

Re: Woh Teri Tarah Koi Thi!!

my god, its so heart-wrenching!

Re: Woh Teri Tarah Koi Thi!!

gud one